Sunday, August 28, 2011

muhabbat ke jaisa



muhabbat ke jaisa nasha hi nahi hai
sabhi kuch hai isme wafa hi nahi hai

pada aaine se mujhe dil lagana
mere jaisa koee bana hi nahi hai

musaafat ka apni akela mai raahi
mere sath koe chala hi nahi hai

jala hai bujha hai, sahar shaam suraj
dhala jo mera din ugaa hi nahi hai

ladega bhi kaise fir apas mein insaaN
jahaN par suna hai khuda hi nahi hai

bade ghar ki ladki, bhale ghar ka ladka
laga to hai podha, phalaa hi nahi hai

pareshaan ho itne, aji baat kya hai
batana nahi ya.. pata hi nahi hai

laga kaise goolar* ye daman ko mere
badha hi kiya gham, ghataa hi nahi hai

use maangna tum na taaroN se hargiz
gira jo wahaN se, milaa hi nahi hai

munafe ki tumko lagi fikr aadat
magar ishq mai to nafa hi nahi hai


No comments:

Post a Comment