Monday, March 14, 2011

Mera jo bhi kissa hoga

Mera jo bhi kissa hoga
Un hoNtho pe chaspaa hoga

jane kya kya bhooli hogi
Usko jab yaad aayaa hoga

Mutthi meiN kuch rakh ke poochy
beti hogi, beta hoga

khidki ke khulte hi, rusvaa
Ghar aaNgan meiN bhikraa hoga

kooNjeyeN kurlaati thiN fir se
kya sawan lout aaya hoga

chaNda itna neechy kaise
shayad uska maatha hoga

woh mujhse milne ko tarse
aisa ho to kaisa hoga

khaab ankho ke khulte hi, fir
kajal kajal failaa hoga

aaine ko todo, dekho
sacchy me kuch jhootha hoga

har din jeena akhir kab tak
ik din sabko marna hoga

Usse jaake itna kahdo
koe rasta takta hoga

yaari apni ik hai lekin
kharcha apna apna hoga

jisme jugnu titli hoNge
Wo mera hi basta hoga

FIKR AllaH ne bola hai ye
jo bhi hoga acha hoga</span>