Friday, September 30, 2011

kahani ho gaye saare


कहानी हो गये सारे कहानी जो सुनाते थे
नही जागे वो यूँ सोए.के जो मुझको सुलाते थे

सुना है लोहे का जंगला लगाया है कमेटी ने
वही मंदिर जहाँ से हम कभी पैसे चुराते थे

बिना ईदी के कैसे पूरी होगी ईद.अब मेरी
मुझे ईदी की बदले में गले अब्बू लगाते थे

हमारे दिल में जो है और जितना है समझने को
मुहब्बत थी या चूड़ी थी जिसे हम आजमाते थे

ज़ुबा से नाक गर छूँ लूँ... लगेंगे pankh phir mujhko
मुझे बचपन में भाई सब बड़ा उल्लू बनाते थे

खफा हो आसमां हमसे बला से अपनी होता हो
वो कहती थी की लाओ चाँद हम भी तोड़ लाते थे

समझ इसको न घर चिड़िया मुझे है कैद से बढ़ कर 
वोह ही घर मेरा था मेहमाँ जहाँ जाते थे आते थे

किसी का ज़िक्र आते ही हमारी आंख भर आना
तुम्हें भी याद है क्या फ़िक्र हम जिसको भुलाते थे

-------------------------

Thursday, September 8, 2011

ye jo berojgaari ke din hai


रतजगे साथी अश्क़ मोहसिन हैं
ये जो बेरोज़गारी के दिन हैं

दुश्मनी से निभा रहे है सब
वैसे यारों की यारी के दिन हैं

अपनी पे आई है मेरी किस्मत
हादसे मौजजों से मुमकिन हैं

Thursday, September 1, 2011

samjho



कांच है मेरी जिंदगी समझो 
हाथ से छूटी तो गयी समझो

जिंदगी  एक  सी  नहीं  सबको 
पेश ज्यूँ आये तुम वही समझो

क्या  ज़रूरी  है, मुंहजुबानी  सब 
ख़ामोशी  भी  कभी  कभी समझो

Ishq maiN jisne bhi utaari haiN


ishq maiN jisne bhi utaari haiN
 kashtiyaan kagzoN ki saari haiN



hizr ki hoN ya vasl ki raateN
maine sab jaag kar guzaari haiN

khaar* chubhteN haiN hathoN mai ab tak
titliyaaN bachpane maiN maari haiN

subah tak zism toot jata hai
jaagti rateN kitni bhaari haiN

kaun kahtaa hai aashiqi badnaam
ye to mash'hoori'yaaN hamari hai

jasusi karta hai muaa'N meri
chaNd meiN aadteN tumhari haiN

desh baNdar sa nachy sansad mei
jo chune humne sab madaari haiN

tum na jab tak khilaoge meetha
faa'ileN daftaroN ki khaari haiN

fikr hai baap ko, yahi dar bhi
batiyaan ab talak kuNwaari haiN

Aadmi kam buraa nahi huN maiN


आदमी कम बुरा नही हूँ मैं
हां मगर बेवफा नही हूँ मैं

मेरा होना ना होने जैसा है
जल चुका हूँ, बुझा नही हूँ मैं

सूरतें सीरतों पे भारी हैं
फूल हूँ, खुशनुमा नही हूँ मैं

थोड़ा थोड़ा तो सब पे ज़ाहिर हूँ
खुद पे लेकिन खुला नही हूँ मैं

रास्ते पीछे छोड़ आया हूँ
रास्तो पर चला नही हूँ मैं

ज़िंदगी का हिसाब क्या रखुं
बिन तुम्हारे जिया नही हूँ मैं

धूप मुझ तक जो आ रही है फ़िक्र
यानी की लापता नही हूँ मैं

nahiN nahiN


  नहीँ नहीँ हमे कोई भी आपसे गिला नहीं
हम अपनो से तो आज तक हुए कभी खफा नहीं

दिया है गम भी आपने, बस अपना जान कर हमें
वगरना आजतक हमें किसी ने कुछ दिया नहीं

दुखाया दिल मज़ाक में, तो शौक में दिया है तोड़
वो जानते है इस गुनाह की कोई सज़ा नहीं

उधेड़ भी दिया था मैने अपने ज़िस्म को मगर
यूँ गुम हूँ अपने आप में, की खुद को भी मिला नही

 उतार दो सलीब से थका हुआ सा ज़िस्म FIKR
ज़माने हो गये है दो कदम भी मैं चला नही

____

NahiN nahiN humeN koe bhi aapse gilaa nahiNhum apno se to aajtak huey kabhi khafa nahiN

diyaa hai gham bhi aapne, bas apna jaan kar humeN
Wa'garna aajtak hameN kisi ne kuch diyaa nahiN

dukhaaya dil majak maiN, to shouk maiN diya hai tod
wo jaante hai is gunaah ki, koee saza nahiN

udherH bhi diya tha maine apne zism ko magar
yuN gumm huN apne aap maiN, ki khud ko bhi mila nahiN

utaar do saleeb se thaka hua sa zism fikR
zamane ho gaye hai do kadam bhi maiN chala nahi

maheen resham ki dori


महीन रेशम की डोरी है ये, ना ज़ोर इस पे तुम आज़माना
जहाँ ज़रूरत हो जीतने की, बस यूँ ही करना तुम हार जाना

न देखना एक दूसरे को...... भले ही आँखों मे प्यार क्यूँ हो
जो देखना हो, वो साथ देखो बस इक तरफ ही नज़र उठाना

कभी जो जाओगे बृंदावन तो बुलाना राधा ही राधा उसको
कन्हिया जो हो कहाना खुद तो, हां कान्हा जैसे नज़र भी आना

नज़र से करना नज़र की बातें..लबों को रखना लबों की खातिर
सवाल जो हो, जवाब वो हो.. जहाँ हो जिसकी जगह बिठाना

स्याही उसकी कलम भी उसका हो 'फ़िक्र' भी और ब्यां भी उसका
उसी की बातें उसी से करना, हमें भी उसकी ग़ज़ल सुनाना

Mujhe meri diid se milna hai chanda


मुझे मेरी दीदी से मिलना है चंदा
मेरे साथ चल साथ चलना है चंदा

बहुत दूर है वो, नये इक शहर में
मगर वो शहर मेरा देखा नही है
मेरी आँख का कोई मंज़र नही है
मेरे पाँव का कोई रास्ता नही है
वही जा तलाश उसको करना है चंदा
मेरे साथ चल साथ चलना है चंदा

हुआ वक़्त कितना मैं गिनने लगूँ तो
हर इक पल सदी है मैं सच ही कहूँ तो
मैं मिलते ही उससे, शिकायत करूँगा
कहीं तुमसे यूँ दूर मैं ही रहूं तो
मेरे साथ तूने भी कहना है चंदा
मेरे साथ चल साथ चलना है चंदा

पता उसका मालूम मुझको नहीं पर
सबूत उसके होने के होंगे वहीं पर
मैं ये जानता हूँ, जहाँ पर वो होगी
वहाँ आके चमकेंगे तारे ज़मीं पर
पता उसका ऐसे ही चलना है चंदा
मेरे साथ चल साथ चलना है चंदा

नदी से, घटा से, कली से, सबा से
सभी से है पूछा.. यहाँ तक खुदा से
मगर कोकोई मुझको बताता नही है
जो है राह उसकी दिखाता नही है
मदद तुझको करनी है मामा तू मेरा
मेरी मा ..तेरी भी तो बहना है चंदा

मेरे साथ चल साथ चलना है चंदा
मुझे मेरी दीदी से मिलना है चंदा

_________________


mujhe meri didi se milnaa hai chanda
mere sath chal.. saath chalna hai chanda

bahut door hai wo, naye ik shahar maiN
magar woh shahar mera dekha nahiN hai
meri aaNkh ka koe maNzar nahiN hai
mere panv ka koe rasta nahiN hai
wahiN ja talaash usko karna hai chanda
mere sath chal.. saath chalna hai chanda

huaa woqt kitna maiN ginne laguN to
har ik pal sadi hai mai sach hi kahuN to
mai milte hi usse, shikayat karuNga
kahiN tumse yun door maiN hi rahuN to
mere sath tune bhi kahna hai chanda
mere sath chal.. saath chalna hai chanda

pata uska maloom mujhko nahiN par
saboot uske hone ke honge wahiN par
mai ye jaanta hun, jahan par wo hogi
wahaN aake chamkenge taare zameeN par
pata uska aise hi chalna hai chanda
mere sath chal.. saath chalna hai chanda

nadi se, ghata se, kali se, sabaa se
sabhi se hai poocha yahaN tak khuda se
magar keo mujhko batata nahiN hai
jo hai raah uski dikhata nahi hai
madad tujhko karni hai mama tu mera
mera Maa .. teri bhi to bahna hai chanda
mere sath chal.. saath chalna hai chanda
mujhe meri didi se milnaa hai chanda

Zism yuN mahke tumhara


zism yun mahke tumhara kya kahuN
tum batao chup rahuN mai ya kahuN

lab tumhare choom kar aisa laga
bin piye yun hi na maiN bahkaa rahuN

baad marne ki khabar kisko magar
zindgi bhar sirf mai tera rahuN

tum bana ke pair'han pahno mujhe
ab tumhare pas mai itnaa rahuN

ik nazar maiN dekh lu tumko agar
aur fir ik zindgi zinda rahuN

saath tum jo do mera mumkin hai ye
bas tumhare hi liye likhtaa rahun

Woh na chaheN gar humeN



woh na chaheN gar humeN kya hum kareN
dil dukhayeN kyun bhala kya gham kareN

dekhiye ji dekhiye unki adaa
teer rakh ke zakhm par marham kareN

gul ki ho bhanvre se jaise guftgoo
aap mujhse baat yuN har-dum kareN

raat bhar humne kayee taare chune
Dho ke ashko se unhe shabnam kareN

dil jalaya piyar maiN donoN ne jab..
kyun na ab roshan yahi aalam kareN

jo na ho to kaat’te din raat sab
aap hoN to dosti mousam kareN 

anna kyuN bhookhe raheN jo neta ji
kaam jyada baat thodi kam kareN

‘fikr’ humko ho rahi hai fikr ye
woh kahiN aake na ye gham kam kareN

Sunday, August 28, 2011

samjho


kaaNch hai meri ziNdgi samjho
haath se chhooti to gayee samjho


Zindgi ek si nahiN sabko
jyuN samjh aye tum wahii samjho 


kya zaroori hai, muNh'zubaani sab
khamoshi bhi kabhi kabhi samjho


maiN to har haal mai tumhaari huN
tum bhali jaano ya buri samjho


zimmedari ka sar pe bojhaa hai
aur khud ko bas ik kuli samjho


sheroN par mere daad dete ho
dukh saho mera bebasi samjho


dosti ka yahi takajaa hai
jo nihayee to kam huee samjho 


fikr bas hosh mai lage pagal
jo magar pi le to wali* samjho

bahayee thi jo pachapan maiN



bahayee thi jo bachpan meiN woH saari kashtiyaaN dhoondo
har ik barish ko dohrao puraani mastiyaaN dhoondo

lage dil thaamne, meri ghazal ka dard samjhe kyuN
are ! nakkad ho tum beh'r ki bas galtiyaaN dhoondo

meri bibi mere bachy mujhe kahne lage hai ye
chalo ye shayri chhodo, hamari rotiyaan dhoondo

mujhe kaboo karega kaun, kisme itni himmat hai
are jao zara majboot isse bediyaaN dhoondo

muaafi aur talafi ke marasim dil se hote haiN
jo aaNkhoN se chalak jayeN na aisi badliyaaN dhoondo

patayee thi jo collage maiN badi mehnat se humne yaar
kaha gum wo gayee saari bhalaa wo ladkiyaaN dhoondo

nikal jao tum is nafart ki bandish se abhi bahar
na ye diwaar gar toote to isme khidkiyaan dhoondo

agar mai mayke apne chalee jauN to mumkin hai
kahaN cham'ach pade haiN aur kahaN haiN karhchhiyaaN dhoondo

mujhe kya lena majhab se, mere dil hi maiN moula hai
tumhari raah hai kuch aur apni seediyaan dhoondo

laga kar itr kagaz pe humeN pagal samjhte ho
jo kagaz ko samjh le phool aisi titliyaaN dhoondo

na maro kokh maiN " beti, bahan, bibi, bahu aur Maa"
kahi dunia na ruk jaye kahiN fir betiyaan dhoondo

zubaan se bol kar kya fayda dil maiN nahi jab rab
bhala kyun 'fiKr sookhe mai sunhari machliyaan dhoondo

muhabbat ke jaisa



muhabbat ke jaisa nasha hi nahi hai
sabhi kuch hai isme wafa hi nahi hai

pada aaine se mujhe dil lagana
mere jaisa koee bana hi nahi hai

musaafat ka apni akela mai raahi
mere sath koe chala hi nahi hai

jala hai bujha hai, sahar shaam suraj
dhala jo mera din ugaa hi nahi hai

ladega bhi kaise fir apas mein insaaN
jahaN par suna hai khuda hi nahi hai

bade ghar ki ladki, bhale ghar ka ladka
laga to hai podha, phalaa hi nahi hai

pareshaan ho itne, aji baat kya hai
batana nahi ya.. pata hi nahi hai

laga kaise goolar* ye daman ko mere
badha hi kiya gham, ghataa hi nahi hai

use maangna tum na taaroN se hargiz
gira jo wahaN se, milaa hi nahi hai

munafe ki tumko lagi fikr aadat
magar ishq mai to nafa hi nahi hai


raat humko jaga ke


रात हमको जगा के सोता है
बात अपनी मना के सोता है


घोड़े जितने खरीदूं मैं दिन भर
शाम तक सब बिका के सोता है


रात भर देखते रहो इसको
हमको उल्लू बना के सोता है


"मोरनी " का वो गीत दादी से
सारे घर को सुना के सोता है


सिर्फ़ चंदा से दिल नही भरता
तारे सारे गिना के सोता है


युं नही सोता है मेरा सूफ़ी
नींद सबकी उड़ा के सोता है


आँख खुलते ही आँख भर ले वो
हां मगर मुस्कुरा के सोता है


भूल जाता हूँ फ़िक्र मैं अपनी
गोद में जब ये आ के सोता है


__________


Raat humko jaga ke sotaa hai
baat apni manaa ke sota hai


ghoRhe jitne khareduN mai din bhar
sham tak sab bikaa ke sota hai


raat bhar dekhte raho isko
humko ullu bana ke sota hai


"Morni " ka woh geet daadi se
sare ghar ko suna ke sota hai


sirf chanda se dil nahi bhartaa
tare sare ginaa ke sota hai


aaNkh khulte hi ankh bhar le wo
haan magar muskuraa ke sota hai


yuN nahi sota hai mera soofi
neeNd sabki udaa ke sota hai


bhool jata hun fikr maiN apni
goud maiN jab wo aa ke sota hai


** morni is a himahcali folk song
for my son " soofi" 

Friday, August 19, 2011

kabhi titli pakdta tha



kabhi titli pakadta tha.. kabhi bulbul pakadta tha
maiN bachapn mai bahut sare, kuch aise shok rakta tha 

mujhe ye do.. woh ab la do.... kabhi zid ki nahi maine
badi majboor hai maa meri,..majboori samjhta tha..

kabhi dassi kabhi panjji.. jo ho woh mujhko deta tha
hai chota bhayee mera aur bado ke kaam karta tha...

mitaa dete riwaj o rasm dunia ke hum ik ho kar
na mumkin sa tha ye sab kuch, magar ye ho bhi saktaa tha

likhaa tha jo bhi kismat maiN... mere daman mai aaya hai
magar woh kiski kismat thi, jise nazmoN mai likhta tha

meri thi fikr hi aisi.. mujhe shayar hi banna tha
ujale mai bhala fir kyun mai jugnu dhoonde firta tha

Wednesday, August 3, 2011

.. AankhoN se


sharm aaNkhoN se taab aaNkhoN se
husn ka hai hijaab aaNkhoN se


tu palat de nakaab aankhoN se
peeni hai ab sharaab aakhoN se se


hal-e- dil mujhko padhna hai inme
tum hatao kitaab ankhoN se


bose* ke ik sawaal par bole
aankhon se haaN janaab ankhoN se


maiN labo se karuN shikayat aur
aye unke jawaab ankhoN se


pyaar ik chhoot ki bimari hai
ankheN hongi kharaab ankhoN se


saaqee tera hisab kar donga
peene de be'hisaab ankhoN se


ek din gar nah dekhe us ko Fikr
rooTh jaate haiN Khwaab aaNkhoN se

SaaQi

pila de pila de mujhe jaam saaqi
dua duN mai jab luN tera naam saaqi

maiN peeta agar huN, buree baat kya hai
bure aur bhee hain yahaan kaam saaqee

jo pi kar na bahke, na hi ladkhadaaye
use dena bose ka inaam saqi

jawani teri bhi jawani meri bhi
dhali hai, dhalegi har ik shaam saaqi

too kar le mujhe apne rindon men shaamil
na allah hai mera na hai raam saaqi

yeh masjid, yeh mandir mujhe ek se hain
mile maikade men hee aaraam saaqee

nahiN paas kuch bhi tujhe duN jo ab maiN
laga de lage jo mera daam saaqi

isi FikR meiN tha kaha shab guzaaruN
tere pas layee hai fir shaam saaqi

Wednesday, July 20, 2011

क्या पता

बे बफा या बा वफ़ा है ............क्या पता
किसके दिल मे क्या छुपा है ....क्या पता

देख कर वो तोड़ देता आइना
ये भी उसकी इक अदा है ........क्या पता

मेरा है ये इक भरम जो सबको है
या की सच-मुच में खुदा है ..... क्या पता

मान लो नासेह जो कहता मगर
उसको सब कुछ ही पता है ......क्या पता

साथ जीने की कसम खाता था बो
अब बिछड़ के मर गया है ..... क्या पता


मैंने तो अपनी तरह से सच कहा
"फ़िक्र 'उसका दिल दुखा है.... क्या पता

Monday, March 14, 2011

Mera jo bhi kissa hoga

Mera jo bhi kissa hoga
Un hoNtho pe chaspaa hoga

jane kya kya bhooli hogi
Usko jab yaad aayaa hoga

Mutthi meiN kuch rakh ke poochy
beti hogi, beta hoga

khidki ke khulte hi, rusvaa
Ghar aaNgan meiN bhikraa hoga

kooNjeyeN kurlaati thiN fir se
kya sawan lout aaya hoga

chaNda itna neechy kaise
shayad uska maatha hoga

woh mujhse milne ko tarse
aisa ho to kaisa hoga

khaab ankho ke khulte hi, fir
kajal kajal failaa hoga

aaine ko todo, dekho
sacchy me kuch jhootha hoga

har din jeena akhir kab tak
ik din sabko marna hoga

Usse jaake itna kahdo
koe rasta takta hoga

yaari apni ik hai lekin
kharcha apna apna hoga

jisme jugnu titli hoNge
Wo mera hi basta hoga

FIKR AllaH ne bola hai ye
jo bhi hoga acha hoga</span>