Sunday, August 28, 2011

samjho


kaaNch hai meri ziNdgi samjho
haath se chhooti to gayee samjho


Zindgi ek si nahiN sabko
jyuN samjh aye tum wahii samjho 


kya zaroori hai, muNh'zubaani sab
khamoshi bhi kabhi kabhi samjho


maiN to har haal mai tumhaari huN
tum bhali jaano ya buri samjho


zimmedari ka sar pe bojhaa hai
aur khud ko bas ik kuli samjho


sheroN par mere daad dete ho
dukh saho mera bebasi samjho


dosti ka yahi takajaa hai
jo nihayee to kam huee samjho 


fikr bas hosh mai lage pagal
jo magar pi le to wali* samjho

bahayee thi jo pachapan maiN



bahayee thi jo bachpan meiN woH saari kashtiyaaN dhoondo
har ik barish ko dohrao puraani mastiyaaN dhoondo

lage dil thaamne, meri ghazal ka dard samjhe kyuN
are ! nakkad ho tum beh'r ki bas galtiyaaN dhoondo

meri bibi mere bachy mujhe kahne lage hai ye
chalo ye shayri chhodo, hamari rotiyaan dhoondo

mujhe kaboo karega kaun, kisme itni himmat hai
are jao zara majboot isse bediyaaN dhoondo

muaafi aur talafi ke marasim dil se hote haiN
jo aaNkhoN se chalak jayeN na aisi badliyaaN dhoondo

patayee thi jo collage maiN badi mehnat se humne yaar
kaha gum wo gayee saari bhalaa wo ladkiyaaN dhoondo

nikal jao tum is nafart ki bandish se abhi bahar
na ye diwaar gar toote to isme khidkiyaan dhoondo

agar mai mayke apne chalee jauN to mumkin hai
kahaN cham'ach pade haiN aur kahaN haiN karhchhiyaaN dhoondo

mujhe kya lena majhab se, mere dil hi maiN moula hai
tumhari raah hai kuch aur apni seediyaan dhoondo

laga kar itr kagaz pe humeN pagal samjhte ho
jo kagaz ko samjh le phool aisi titliyaaN dhoondo

na maro kokh maiN " beti, bahan, bibi, bahu aur Maa"
kahi dunia na ruk jaye kahiN fir betiyaan dhoondo

zubaan se bol kar kya fayda dil maiN nahi jab rab
bhala kyun 'fiKr sookhe mai sunhari machliyaan dhoondo

muhabbat ke jaisa



muhabbat ke jaisa nasha hi nahi hai
sabhi kuch hai isme wafa hi nahi hai

pada aaine se mujhe dil lagana
mere jaisa koee bana hi nahi hai

musaafat ka apni akela mai raahi
mere sath koe chala hi nahi hai

jala hai bujha hai, sahar shaam suraj
dhala jo mera din ugaa hi nahi hai

ladega bhi kaise fir apas mein insaaN
jahaN par suna hai khuda hi nahi hai

bade ghar ki ladki, bhale ghar ka ladka
laga to hai podha, phalaa hi nahi hai

pareshaan ho itne, aji baat kya hai
batana nahi ya.. pata hi nahi hai

laga kaise goolar* ye daman ko mere
badha hi kiya gham, ghataa hi nahi hai

use maangna tum na taaroN se hargiz
gira jo wahaN se, milaa hi nahi hai

munafe ki tumko lagi fikr aadat
magar ishq mai to nafa hi nahi hai


raat humko jaga ke


रात हमको जगा के सोता है
बात अपनी मना के सोता है


घोड़े जितने खरीदूं मैं दिन भर
शाम तक सब बिका के सोता है


रात भर देखते रहो इसको
हमको उल्लू बना के सोता है


"मोरनी " का वो गीत दादी से
सारे घर को सुना के सोता है


सिर्फ़ चंदा से दिल नही भरता
तारे सारे गिना के सोता है


युं नही सोता है मेरा सूफ़ी
नींद सबकी उड़ा के सोता है


आँख खुलते ही आँख भर ले वो
हां मगर मुस्कुरा के सोता है


भूल जाता हूँ फ़िक्र मैं अपनी
गोद में जब ये आ के सोता है


__________


Raat humko jaga ke sotaa hai
baat apni manaa ke sota hai


ghoRhe jitne khareduN mai din bhar
sham tak sab bikaa ke sota hai


raat bhar dekhte raho isko
humko ullu bana ke sota hai


"Morni " ka woh geet daadi se
sare ghar ko suna ke sota hai


sirf chanda se dil nahi bhartaa
tare sare ginaa ke sota hai


aaNkh khulte hi ankh bhar le wo
haan magar muskuraa ke sota hai


yuN nahi sota hai mera soofi
neeNd sabki udaa ke sota hai


bhool jata hun fikr maiN apni
goud maiN jab wo aa ke sota hai


** morni is a himahcali folk song
for my son " soofi" 

Friday, August 19, 2011

kabhi titli pakdta tha



kabhi titli pakadta tha.. kabhi bulbul pakadta tha
maiN bachapn mai bahut sare, kuch aise shok rakta tha 

mujhe ye do.. woh ab la do.... kabhi zid ki nahi maine
badi majboor hai maa meri,..majboori samjhta tha..

kabhi dassi kabhi panjji.. jo ho woh mujhko deta tha
hai chota bhayee mera aur bado ke kaam karta tha...

mitaa dete riwaj o rasm dunia ke hum ik ho kar
na mumkin sa tha ye sab kuch, magar ye ho bhi saktaa tha

likhaa tha jo bhi kismat maiN... mere daman mai aaya hai
magar woh kiski kismat thi, jise nazmoN mai likhta tha

meri thi fikr hi aisi.. mujhe shayar hi banna tha
ujale mai bhala fir kyun mai jugnu dhoonde firta tha

Wednesday, August 3, 2011

.. AankhoN se


sharm aaNkhoN se taab aaNkhoN se
husn ka hai hijaab aaNkhoN se


tu palat de nakaab aankhoN se
peeni hai ab sharaab aakhoN se se


hal-e- dil mujhko padhna hai inme
tum hatao kitaab ankhoN se


bose* ke ik sawaal par bole
aankhon se haaN janaab ankhoN se


maiN labo se karuN shikayat aur
aye unke jawaab ankhoN se


pyaar ik chhoot ki bimari hai
ankheN hongi kharaab ankhoN se


saaqee tera hisab kar donga
peene de be'hisaab ankhoN se


ek din gar nah dekhe us ko Fikr
rooTh jaate haiN Khwaab aaNkhoN se

SaaQi

pila de pila de mujhe jaam saaqi
dua duN mai jab luN tera naam saaqi

maiN peeta agar huN, buree baat kya hai
bure aur bhee hain yahaan kaam saaqee

jo pi kar na bahke, na hi ladkhadaaye
use dena bose ka inaam saqi

jawani teri bhi jawani meri bhi
dhali hai, dhalegi har ik shaam saaqi

too kar le mujhe apne rindon men shaamil
na allah hai mera na hai raam saaqi

yeh masjid, yeh mandir mujhe ek se hain
mile maikade men hee aaraam saaqee

nahiN paas kuch bhi tujhe duN jo ab maiN
laga de lage jo mera daam saaqi

isi FikR meiN tha kaha shab guzaaruN
tere pas layee hai fir shaam saaqi